Roman script

ab kya sochein kya hona hai

jo hoga accha hoga

ab kya sochein kya hona hai

jo hoga accha hoga

pehle socha hota pagal

ab rone se kya hoga

ab kya sochein kya hona hai

jo hoga accha hoga

yaar se gham kah kar to khush ho

lekin tum ye kya jaano

yaar se gham kah kar to khush ho

lekin tum ye kya jaano

tum dil ka rona rote the

wo dil mein hansta hoga

ab kya sochein kya hona hai

jo hoga accha hoga

aaj kisi ne dil toda to

humko jaise dhyan aaya

aaj kisi ne dil toda to

humko jaise dhyan aaya

jiska dil hum ne toda tha

wo jaane kaisa hoga

ab kya sochein kya hona hai

jo hoga accha hoga

mere kuch pal mujhko de do

baaqi saare din logo

mere kuch pal mujhko de do

baaqi saare din logo

tum jaisa jaisa kehte ho

sub waisa waisa hoga

ab kya soche kya hona hai

jo hoga accha hoga

pehle socha hota pagal

ab rone se kya hoga

ab kya sochein kya hona hai

jo hoga accha hoga

ab kya sochein kya hona hai

jo hoga accha hoga

Explore this song