Roman script

aayi saawan ki rut matwali 
aayi saawan ki rut matwali 
kuhu ke koyaliya, ambuaa ki daali
nanhi nanhi bunde aayi, saawan ki suhani 
garjat hain kali ghata, barsat hain pani 
aayi saawan ki rut matwali aayi 
purab se badarva ghir-ghir ke aaye 
mast pavan mohe jhula jhulaye 
purab se badarva ghir-ghir ke aaye 
mast pavan mohe jhula jhulaye 
barkha me bhige mori chadhti jawani 
aayi saawan ki rut matwali 
aayi saawan ki rut matwali aayi 
jiyara me halchal hain, rangin najare 
jiyara me halchal hain, rangin najare 
paapi papiha pi pi pukare 
pi pi piukare 
aayi hai rut mohe karne diwani 
aayi saawan ki rut matwali 
aayi saawan ki rut matwali 
kuhu ke koyaliya, ambuaa ki daali
nanhi nanhi bunde aayi, saawan ki suhani 
garjat hain kali ghata, barsat hain pani 
aayi saawan ki rut matwali aayi

Song details

Song video

Watch on YouTube