Roman script

aayi aaj bida ki bela

aayi aaj bida ki bela

ghadi badi gambhir

ran me veer chala

danush khadag tumir kawach se

saja hua hai sharir

ran me veer chala

kaisi kathin parisha leta

tu bhi haye vidhata

tadap rahi hai maa ki mamta

aasu tapak na mata

kunti dropadi dekh rahi hai

kunti dropadi dekh rahi hai

bhar aankho me neer

ran me veer chala

aayi aaj vida ki bela ghadi badi gambhir

ran me veer chala

pahnati hai har subhadhra

vyatha kahi na jati

hariday dhadakta hath kapte

phati ja rahi chati

laga rahi hai bida ka tika

laga rahi hai bida ka tika

apna kaleja chir 

ran me veer chala

aayi aaj vida ki bela

ghadi badi gambhir 

ran me veer chala

bichad raha hai jivan sathi

samay ki gati hai nyari

pran piya se mil na saki re

pran piya ki pyari

bani aaj nirdosh uttra

bani aaj nirdosh uttra

karuna ki tasvir

ran me veer chala

aayi aaj vida ki bela

ghadi badi gambhir

ran me veer chala

Explore this song