Roman script

ka karu sajni, aaye na balam

ka karu sajni, aaye na balam

khoj rahi hai, piya pardesi ankhiya

khoj rahi hai, piya pardesi ankhiya

aaye na balam

ka karu sajni, aaye na balam

jab bhi koi aahat hove, manwa mora bhage

dekho kahin tute nahi, prem ke ye dhaage

hai matwari reet humari, chhupe na chhupaye

chhupe na chhupaye

sawan ho tum, main hu tori badariya

aaye na balam

ka karu sajni, aaye na balam

o bhor bhayi aur sanjh dhali re

samayne ne li angdayi

ye jag sara nind se haara

mohe nind na aayi

ho main ghabrau, dar dar jaau

aaye wo na aaye, aaye wo na aaye

radha bulaye, kahan khoye ho kanhaiya

aaye na balam

ka karu sajni, aaye na balam

Explore this song