Roman script

aawaz de raha hai koyi aasman se

aaja mere jahan me apne jahan se

aawaz de raha hai koyi

bechain kar rahin hain bulave ki har sada

har sans pe dhadakata hai yu aaj dil meraa

jaise hava ki mauj se bujhane lage deeya

bujhane lage deeya

yeh raaj woh hai kah naa saku jo juban se

aaja mere jahan me apne jahan se

aawaz de raha hai koyi

palko me aansuo ko chhupaye huye hu mai

taro se apne ghar ko sajaye huye hu mai

sajan ki dhun jaban pe laye huye hu mai

laye huye hu mai

hai bekhabar jamana meri dastan se

aaja mere jahan me apne jahan se

aawaz de raha hai koyi

Explore this song