Roman script

aurat ko vedo ne lakshmi kaha hai 
aurat ko vedo ne lakshmi kaha hai 
magar aaj aurat ke halat ye kya hai 
aurat ko vedo ne lakshmi kaha hai 
paida hai hoti to maa baap rote
ke saude dahejo ke is par hai hote
bachapan mein bhaiyo se nicha samjhate
paani par ye aur wo dudho mein palte
aurat ko vedo ne lakshmi kaha hai 
par dhan samjh kar isko padhaya
bhale dahej dene ko karja uthaya
idhar karje ne sukh chain chhina 
hua udhar beti ka mushkil hai jina 
aurat ko vedo ne lakshmi kaha hai 
sasural mein shish sabko jhukati 
sab kaam ghar ke ka bojha uthati
kam dahej laane ke tane bhi sunti
roti hai chhup chhup ke yu to hai jiti
aurat ko vedo ne lakshmi kaha hai 
jarurt jo daulat ki unko padi to 
maa baap ke paas bheja bahu ko 
takleef sasural ki tun uthaao 
nahi apni beti ko ghar mein bithao
aurat ko vedo ne lakshmi kaha hai 
bina dosh ke dekho pakadi hui hai 
ajab ghor dukho mein jakadi hui hai 
hai bachne ke liye kuo mein padi
hatho lagaai ye aago mein jalti 
aurat ko vedo ne lakshmi kaha hai  
kabhi to julm ispe yu bhi hua hai 
ki sasuro ne isko katl bhi kiya hai 
marne se iske khushi unko hoti 
naya dahej milta nayi bahu milti
aurat ko vedo ne lakshmi kaha hai 
mana ye har ghar ka kissa nahi hai 
magar kafi bahano ka hissa yahi hai 
ae hind walo ise tum uthaao 
padhao likhao aur uncha bithao
lakshmi jo kahte ho lakshmi banao
aurat ko vedo ne lakshmi kaha hai

Song details