Roman script

ashiq hoon main janejigar mujhe dekhle bas ek nazar
ashiq hoon main janejigar mujhe dekhle bas ek nazar
baharon ka sama hai humara dil jawan hai
ye paris zamana jale to jale
ashiq hoon main janejigar mujhe dekhle bas ek nazar
ashiq hoon main janejigar mujhe dekhle bas ek nazar
baharon ka sama hai humara dil jawan hai
ye paris zamana jale to jale ashiq hoon main jaanejigar
mujhpe apne husn ki bijli na gira
aa chehre pe daal doon zulfon ki ghata
khwabon ki hoor hai tu kyon mujhse door hai tu
hey khushbu ki rahon mein aa meri bahon mein
main seene se laga loon khayalon mein basa loon
ye paris zamana jale to jale mere samne mehboob hai 
mausam jawan kya khoob hai hum afsana likenge janejana
ye paris zamana jale to jale
haan haan janejigar ab na hoga kam kabhi ulfat ka nasha
karti hai pagal mujhe teri har ada itna hi kehna hai
palkhon mein rehna hai ek lamha ek bhi din
jeena kya tere bin ye meri zindagani hai teri hi kahani
ye paris zamana jale to jale kuch tum kaho kuch main kahun
aisi hi kyon doori sahoon 
nigahon mein basaoon main teri ban jaun
ye paris zamana jale to jale
ashiq hoon main janejigar mujhe dekhle bas ek nazar
ashiq hoon main janejigar mujhe dekhle bas ek nazar
baharon ka sama hai humara dil jawan hai
ye paris zamana jale to jale jale to jale
ye paris zamana jale to jale

Song details

Song video

Watch on YouTube

singer: Udit Narayan, Asha Bhosle

actor: Ajay Devgan, Kajol, Kashmira Shah