Roman script

aarju hai pyar ki dil ki hai iltiza

hai khwaishe dhadkan ki ye naa rahe ab duriya

baaho me baahe ho raat din, pyar ho darmiya

tune dil ko chhua hai o jaan-e-ja

ye mujhe kya hua hai o jaan-e-ja

chand ki chandani se dhula rup hai

tu hasin sham hai, gunguni dhup hai

tere khayalo se aabad hai mere dono jahan

tune dil ko chhua hai o jaan-e-ja

ye mujhe kya hua hai o jaan-e-ja

is kadar tutke mai tujhe pyar du

tujhpe dil jindagi ye jahan vaar du

meri duao kaa asar hai tu, ya hai rab ki dua

tune dil ko chhua hai o jaan-e-ja

ye mujhe kya hua hai o jaan-e-ja

aarju hai pyar ki dil ki hai iltiza

hai khwaishe dhadkan ki ye naa rahe ab duriya

baaho me baahe ho raat din, pyar ho darmiya

tune dil ko chhua hai o jaan-e-ja

ye mujhe kya hua hai o jaan-e-ja

tune dil ko chhua hai o jaan-e-ja

ye mujhe kya hua hai o jaan-e-ja

Explore this song