Roman script

aap jab se karib aaye hain, pyaar ke rang dil pe chhaaye hain

aap jab se karib aaye hain

jalavaye yaar hai nigaaho me, phul bikhare huye hain raaho me

dur tak jindagi ke saaye hain, dur tak jindagi ke saaye hain

aap jab se karib aaye hain

dil ne halki si chot khaayi hai, jindagi ab samajh me aayi hai

ham khud apne nahi paraaye hain, ham khud apne nahi paraaye hain

aap jab se karib aaye hain

aap se apne dil ko har ke ham, iss kadar kush hain aap hi ki kasam

jaise duniya ko jeet laaye hain, jaise duniya ko jeet laaye hain

aap jab se karib aaye hain

khair ho ishk ke fasaane ki, lag naa jaaye najar jamaane ki

had se aage kadam badhaaye hain, had se aage kadam badhaaye hain

aap jab se karib aaye hain

Explore this song