Roman script

aao suhag ki raat mana le

aaj bujha di jivan baati

sej chita ki hamko bulaye

o mere janam maran ke sathi

tumhare sang jina tha

tumhare sang jina tha

tumhare sang marana hai

diya tha jo vachan tumko 

wo pura aaj karna hai

tumhare sang marana hai

huyi kuch bhul hogi

jiski maine saja payi

huyi kuch bhul hogi

jiski maine saja payi

dyalu hoke bhi maa ne

daya mujhpe na dikhlai

daya mujhpe na dikhlai

chita ki rakh chita ki rakh

chita ki rakh ab to

dharti pe bikharna hai

tumhare sang marana hai

abhagin hoke jine se 

suhagin marna achcha hai

abhagin hoke jine se 

suhagin marna achcha hai

pati ke sang sati hona

ye naari ki priksha hai 

ye naari ki priksha hai 

isi agni priksha mein

khara mujhko utrna hai

diya tha jo vachan tumko 

wo pura aaj karna hai

tumhare sang marana hai

diya tha jo vachan tumko 

wo pura aaj karna hai

tumhare sang marana hai

Explore this song