Roman script

o meena o reena ae reena aao na

chali aao na are aati hu

o sheela o reela o meena

nayi dulhaniya se, rasiya ki batiya sunenge

sunao na sunao na 

sunati hu sunati hu sunati hu 

aao sakhiyo tumhara dil bahlau

accha, ha ji

aao sakhiyo tumhara dil bahlau

apne byah ki, baat sunau, sunao na

pahli baar jab gayi sasural

lamba sa ghunghat dhimi si chaal

pahli baar jab gayi sasural

lamba sa ghunghat dhimi si chaal

sara gaanv dene aaya badahi

badahi ho badahi

sara gaanv dene aaya badahi

kahne laga ke bahu sundar aayi

khila de mithai, mithai

kis uljhan me, accha

kis uljhan me pad gayi raat

hoye hoye

kis uljhan me pad gayi raat

sab sakhiyo ne chhoda sath

phir kya hua

phir le gayi mujhe badi nand

dhakka diya aur kamra band

aao sakhiyo tumhara dil bahlau

apne byah ki baat sunau

byah ki nahi band kamre ki baat sunao

sunati hu, batao na, batati hu

main thi akeli meri kaanpi jaan

main thi akeli meri kaanpi jaan

maine kaha kya hoga bhagwan

phir hua darwaza tak tak tak

karne laga dil dhak dhak dhak

dhak dhak dhak dhak

dar dar ke darwaza khola

aate hi wo mujhse bola

kya bola, bola hoga

o meri naino ki nina

mushkil hai tere bina jeena

are ho gayi pasina pasina

jitna ghunghat karu main niche

oye hoye

jitna ghunghat karu main niche

utna hi wo upar khinche

are jija ji pad gaye honge picche

khub huyi phir khincha taani

wo bhi na mana main bhi na mani

wo bhi na mana main bhi na mani

o kitni hai pyari

ghunghat usne utha liya

aankho ko maine jhuka diya

andar se to dil ne mana

upar se karti thi na na

na na, ha ha

gale me di jab baahe daal

haye gale me di jab baahe daal

aage na puchho mera haal

aage na puchho mera haal

badi natkhat hai ye chhuimuyi

asli baat ko gol kar gayi

mui asli baat ko gol kar gayi

bolo na nahi nahi

ari bolo na, kaise bolu

aise badhi dil ki dhadkan

roke ruke na ye dhadkan

dil ko thama hatho se

diya bujh gaya saanso se

phir kya hua

diya bujha aur andhera ho gaya

andhera ho gaya

andhera ho gaya

andhera to hua par aage kya kya hua

aage kya hona tha

diya bujha aur andhera ho gaya

aankh khuli to savera ho gaya

main uski ho gayi wo mera ho gaya

Explore this song