Roman script

aao jannat me jahanaam ka nazara dekho

aao jannat me jahanaam ka nazara dekho

aao jannat me jahanaam ka nazara dekho

kis tarah barf se uthta hai sarara dekho

kis tarah barf se uthta hai sarara dekho

na rahi apni zami na raha apna makan

aise logo ko bata jaye to jaye kaha

kaise hoga bhala in sab ka gujara dekho

kis tarah barf se uthta hai sarara dekho

aao jannat me jahanaam ka nazara dekho

aao jannat me jahanaam ka nazara dekho

bahte ashko ki panaho me sisakti aahe

apne bacho se juda hoke bilakhati maaye

kisne china hai budhapo ka sahara dekho

aao jannat me jahanaam ka nazara dekho

aao jannat me jahanaam ka nazara dekho

aao jannat me jahanaam ka nazara dekho

kis tarah barf se uthta hai sarara dekho

ab chinaro se bhi chikho ki sada aati hai

jism to jism hai ab ruh kaap jati hai

kaise insan ne insan ko mara dekho

kis tarah barf se uthta hai sarara dekho

kaise insan se insan ko mara dekho

kaise insan ne insan ko mara dekho

kaise insan ne insan ko mara dekho

aao jannat me jahanaam ka nazara dekho

begunaho ke kalejo pe sitamgar ke sitam

ab to dam tod chuke deeno dharam rahmo karam

ye watan kaise chand logo se hara dekho

ye watan kaise chand logo se hara dekho

kis tarah barf se uthta hai sarara dekho

aao jannat me jahanaam ka nazara dekho

kis tarah barf se uthta hai sarara dekho

apni sanso me jo tufan chupa rakhe hai

jalte sino me jo barud daba rakhe hai

aise bacho ka kis taraf hai ishara dekho

kis tarah barf se uthta hai sarara dekho

aao jannat me jahanaam ka nazara dekho

kis tarah barf se uthta hai sarara dekho

kis tarah barf se uthta hai sarara dekho

mulk aazad karo mulk aazad karo

mulk aazad karo mulk aazad karo

mulk aazad karo mulk aazad karo

Explore this song