Roman script

kya jano tum bin thi kya dil ko bekarari

mahfil ki, mahfil ki diwani si tumhari

chain aaya jab dekhi ye surat pyari pyari

aao aao jan-e-jaha, aao aao jan-e-jaha

dil ne dhunda tumhe kaha kaha

aao hum bhi aaye hai baho ke haar leke

hotho pe ek nagma ankho me pyar leke

is dil ke shishe me taswire yar leke

aao aao jan-e-jaha dil ne dhunda tumhe kaha kaha

aao aao jan-e-jaha

ulfat hai ya kya hai kuch kam hai dil ki uljhan

pahle thi khoyi si ab chanchal hai ye chitwan

tum chhu lo kuch aise lahraye mera tan-man

aao aao jan-e-jaha dil ne dhunda tumhe kaha kaha

aao aao jan-e-jaha

Explore this song