Roman script

aansu thi meri jindagi, aankho ne jo baha diya

roti hai mujhpe bekasi, hasarat ne mita diya

hasarat ne mita diya

milake bichhad gaye ho tum, banke bigad gaye hai ham

banke bigad gaye hai ham

apni khushi ke waste, tumane hame mita diya

tumane hame mita diya

sunke koyi karega kya, tute dilo kaa majara

tute dilo kaa majara

roya hai phut phut kar, hamne jise suna diya

hamne jise suna diya

woh jo tumhara pyar tha, maut ki nind so gaya

maut ki nind so gaya

abb use dhundhate ho kya, khak me jab mila diya

khak me jab mila diya

meri khushi bhi chhin li, haske mujhe rula diya

haske mujhe rula diya

tum toh meraa nasib the, tumne mujhe yeh kya diya

tumne mujhe yeh kya diya

Explore this song