Roman script

aankho se jo utaree hai dil me 

tasvir hai ek anjaane kee

khud dhundh rahee hai shama jise 

kya baat hai uss parvaane kee

aankho se jo utaree hai dil me

wo usake labon par shokh hansee 

wo usake labon par shokh hansee 

rangin sharaarat aankho me

saanso me mohabbat kee khushbu

wo pyaar kee dhadkan baato me

duniya meree badal gayee

banake ghata nikal gayee

tauba woh najar mastaane kee

khud dhundh rahee hai shama jise

kya baat hai uss parvaane kee

aankho se jo utaree hai dil me

andaaj wo usake aane kaa 

andaaj wo usake aane kaa

chupke se bahaar aaye jaise

kahne ko ghadee bhar saath raha

par umar gujar aaye jaise

unke bina rahungee nahee

kismat se abb jo kahee

mil jaaye khabar divaane kee

khud dhundh rahee hai shama jise

kya baat hai uss parvaane kee

aankhon se jo utaree hai dil me

tasvir hai ek anjaane kee

khud dhundh rahee hai shama jise

kya baat hai uss parvaane kee

aankho se jo utaree hai dil me

Explore this song