Roman script

ghata pe jhumta badal nahi to kuch bhi nahi 

tumhari ankh mein kajal nahi to kuch bhi nahi

aankho mein kajal tera dilkash najara laga

dekha jo chehra tera mausam bhi pyara laga 

kaliya nayi ho gayi har gul kunwara laga

kaliya khila deti hai ek muskurahat teri

hamari aankho mein apna khumar rehne de

tamam umar tera karzdar rehne de

kaliya khila deti hai ek muskurahat teri

nagme jaga deti hai halki si aahat teri

tu hi mera chand hai tu hi sitara laga

dekha jo chehra tera mausam bhi pyara laga

aankho me kajal tera dilkash najara laga

tu hai mohabbat meri tu hai ibadat meri

sabhi ke dil mein tere husn ki hukumat hai 

ke sari duniya mein tu sabse khubsurat hain

ho tu hai mohabbat meri tu hai ibadat meri

tu hi mera pyar hai, tu hi jarurat meri

aankho ki thandak hai tu dil kaa sahara laga

dekha jo chehra tera mausam bhi pyara laga

aankho mein kajal tera dilkash najara laga

ye bhigi julfe teri jaise gagan mein ghata

kesuo ko chehre par apne bikhera hai 

kesuo ko chehre par apne bikhera hai

hasrato ki duniya mein dur tak andhera hai

ye bhigi julfe teri jaise gagan mein ghata

ye mehki sanse teri jaise chaman mein hawa

tere bina ye jaha berang sara laga

dekha jo chehra tera mausam bhi pyara laga

aankho me kajal tera dilkash najara laga

dekha jo chehra tera mausam bhi pyara laga

kaliya nayi ho gayi har gul kunwara laga

dekha jo chehra tera hayi mausam bhi pyara laga

Explore this song