Roman script

aanchal mein sajaa lenaa kaliyaan, zulfon mein sitaare bhar lenaa

aise hi kabhi jab shaam dhale, tab yaad hamen bhi kar lenaa

aanchal mein sajaa lenaa kaliyaan

aayaa thaa yahaan begaanaa saa

aayaa thaa yahaan begaanaa saa, chal doongaa kahin deewaanaa saa

chal doongaa kahin deewaanaa saa

deewaane ki khaatir tum koyi, ilzaam naa apne sar lenaa

aise hi kabhi jab shaam dhale, tab yaad hamen bhi kar lenaa

aanchal mein sajaa lenaa kaliyaan

rastaa jo mile anjaan koyi

rastaa jo mile anjaan koyi aa jaaye agar toofaan koyi

aa jaaye agar toofaan koyi

apne ko akelaa jaan ke tum

aankhon mein na aansoo bhar lenaa

aise hi kabhi jab shaam dhale, tab yaad hamen bhi kar lenaa

aanchal mein sajaa lenaa kaliyaan

zulfon mein sitaare bhar lenaa

aanchal mein sajaa lenaa kaliyaan

Explore this song