Roman script

aaj ruthe huye sajan ko bahut yaad kiya

apne ujade huye gulshan ko bahut yaad kiya

jab kabhi gardish-e-takadir ne ghera hai hame

gesu-e-yaar ki ulajhan ko bahut yaad kiya

jiske maathe pe nayi subaho ka jhummar hoga

hamne us waqt ki dulhan ko bahut yaad kiya

aaj tute huye sapno ki bahut yaad aayi

aaj bite huye saawan ko bahut yaad kiya

ham sar-e-tur bhi mayus-e-tajalli hi rahe

us dar-e-yaar ki chilaman ko bahut yaad kiya

Explore this song