Roman script

kashti ka khamosh safar hai, shaam bhi hai tanhayi bhi

dur kinare par bajati hai laharo ki shahnayi bhi

kashti ka khamosh safar hai, shaam bhi hai tanhayi bhi

dur kinare par bajati hai laharo ki shahnayi bhi

aaj mujhe kuchh kahna hai, aaj mujhe kuchh kahna hai

lekin ye sharmili nigahe mujhko ijazat de to kahu

khud meri betaab umange thodi fursat de to kahu

aaj mujhe kuchh kahna hai, aaj mujhe kuchh kahna hai

jo kuchh tumko kahna hai, vo mere hi dil ki baat na ho

jo hai mere khwabo ki manzil us manzil ki baat na ho

kahte huye dar sa lagta hai, kahakar baat na kho baithu

ye jo zara sa saath mila hai, ye bhi saath na kho baithu

kabse tumhaare raste pe mai phul bichhaaye baithi hu

kah bhi chuko jo kahna hai mai aas lagaaye baithi hu

dil ne dil ki baat samajh li, ab munh se kya kaha hai

aaj nahi to kal kah lenge, ab to saath hi rahna hai

kah bhi chuko, kah bhi chuko jo kahna hai

chhodo ab kya kahna hai

Explore this song