Roman script

aaj mai gaun jo kaise wo geet ho 

aaj mai gaun jo kaise wo geet ho 

geet kitne hai geet barkha ke baharo ke 

har ik mausam ke geet phulo ke geet kirno ke 

geet chidiyo ke geet jharno ke 

geet hote hai yu sharmile muh chupati hai jaise ik dulhan 

geet hote hai yu hi mehke se jaise bagiya me ho ik chandan

geet asha ke geet sapno ke geet yado ke 

ye geet mai gaun ya gaun mai geet chudi ke geet kangan ke

geet khan khan ke geet chan chan ke 

yaad aate hai yad aise bhi jo muskurate hai jo shararat se 

geet aise bhi reshmi se hai dil ko chute hai jo mohobat se 

geet dhadkan ke geet nainan ke geet sajan ke 

ye geet mai gaun ya gaun mai geet barish ke geet badal ke

geet bindiya ke geet kajal ke gaun kya gaun kya 

gaun kya gaun kya gaun kya 

geet kitne hai geet barkha ke baharo ke 

har ik mausam ke geet phulo ke geet kirno ke 

geet chidiyo ke geet jharno ke

Explore this song