Roman script

aaj koi pyar se dil ki bate kah gaya

haye mai to aage badh gayi 

piche zamana rah gaya haye ram

aaj koi pyar se

chir kar pathar ka sina jhum kar jharna baha

jisme ek tufan tha sou karwate leta hua

aaj maujo ki rawani me kinara bah gaya hay

ek kinara bah gaya mai to aage badh gayi 

piche zamana rah gaya haye ram

aaj koi pyar se dil ki bate kah gaya

haye ram aaj koi pyar se 

unke hotho par hasi haye khil ke jab lahra gayi

wo bhi kuch ghabra gaye

mai bhi kuch sharma gayi

wo bhi kuch ghabra gaye

or mai bhi kuch sharma gayi

kuch nahi kahte hue bhi

koi sab kuch kah gaya hay

koi sab kuch kah gaya mai to aage badh gayi 

piche zamana rah gaya haye ram

aaj koi pyar se dil ki bate kah gaya

haye ram aaj koi pyar se

Explore this song