Roman script

namaste ya salam kehne me

jhukne me harj kuch nahi

lekin itna na jhuko

ke sar ki topi gir pade

aaj ki duniya me beta 

baap se hoshiyaar hai

baap ko paise se ise jindagi se pyar hai

sabke aage sar jhukane me hame inkar hai

uski ijjat hai yaha jo aadmi kuddaar hai

aaj ki duniya me beta 

baap se hoshiyaar hai

baap ko paise se ise jindagi se pyar hai

aaj ki duniya me beta 

jhopdi walo mahal ke aage

bhikh maagne mat jana

bhikh maagne mat jana

apni mehnat majduri ki

jaisi mil jaye khana, jaisi mil jaye khana

bin tere kaise din katta ha

dil ne kyu tumko chaha

bin tere kaise din katta ha

dil ne kyu tumko chaha

mushkil hai majdur ki takat se

dhanwan ka takrana, dhanwano ka takrana

ab tak jisne takkar li hai

use pada hai pachhtana

use pada hai pachhtana

sabke aage sar jhukane me hame inkar hai

uski ijjat hai yaha jo aadmi kuddar hai

aaj ki duniya me beta 

baap se hoshiyaar hai

baap ko paise se ise jindagi se pyar hai

aaj ki duniya me beta 

ham to pyar karenge us se

jo apne man bhaye, jo apne man bhaye

baap ko chahiye waha se rishta

jaha se daulat aaye, jaha se daulat aaye

bin tere kaise din katta ha

dil ne kyu tumko chaha

bin tere kaise din katta ha

dil ne kyu tumko chaha

aaj jurm hai dahej lena

koi use samjhaye, koi use samjhaye

aisa na ho bahu ko la ke

hawa jel ki khaye, hawa jel ki khaye

sabke aage sar jhukane me hame inkar hai

uski ijjat hai yaha jo aadmi kuddar hai

aaj ki duniya me beta 

baap se hoshiyaar hai

baap ko paise se ise jindagi se pyar hai

aaj ki duniya me beta 

bin tere kaise din katta ha

dil ne kyu tumko chaha

tum to kisi ke ho na paye

kisi ne tumse pyar kiya

kisi ne tumse pyar kiya

na to vada kiya aaj ka, na kal ka ikarar kiya

na kal ka ikarar kiya

bin tere kaise din katta ha

dil ne kyu tumko chaha

bin tere kaise din katta ha

dil ne kyu tumko chaha

hamne apni khushi se jyada

gham pe hi aitbar kiya, gham pe hi aitbar kiya

gham ne sath nibhaya apna

khushi ne dil bejar kiya, khushi ne dil bejar kiya

sabke aage sar jhukane me hame inkar hai

uski ijjat hai yaha jo aadmi kuddar hai

aaj ki duniya me beta 

baap se hoshiyaar hai

baap ko paise se ise jindagi se pyar hai

aaj ki duniya me beta

Explore this song