Roman script

aaj kal jindagi mujhse hai keh rahi

tu jo meri maane to chal deewaane 

sapno ki raahon mein tu

saari khushbuo ko saari roshani ko 

le le in baahon mein tu

ab hai tu jahaan, din raat saare naye hain

aarju jawa jajbaat saare naye hai

naye raaste hai tere waaste

to rahe kyu panaaho mein tu

o ho tere liye nayi hai jamin naya aasmaan

likh de hawaao pe koyi nayi dastaan

tere liye nayi hai jamin naya aasmaan

likh de hawaao pe koyi nayi dastaan

jindagi ne dastak di to dil ki sab khidkiyaan

khul gayi haan khul gayi

honto pe jo jami thi wo saari khaamoshiyaan ghul gayi

haan ghul gayi

kitne lamho ne mujhko jaise hairaan kiya

kitni baaton ne dil ko aa ke hai chhu liya

chaahatein kayi hai dil mein ab jagmagaayi

raahate kayi hai mujhe kehne ko aayi

pehchaane saari muskaane saari bhar le 

nigaahon mein tu

o ho tere liye nayi hai jamin naya aasmaan

likh de hawaao pe koyi nayi dastaan

tere liye nayi hai jamin naya aasmaan

likh de hawaao pe koyi nayi dastaan

Explore this song