Roman script

sona chandi jhuthi doulat sacchi daulat pyar

sacchi doulat ke dushman sab jhuthi ke sab yaar

aaj iski bhari jholi to kal uski bharegi 

doulat ne wafa ki hai kabhi or na kregi

aaj iski bhari jholi to kal uski bharegi 

daulat ne wafa ki hai kabhi or na kregi

nafrat ki chhuri seene pe dhar deti hai doulat

nafrat ki chhuri seene pe dhar deti hai doulat

bhai ko juda bhai se kar deti hai daulat

doulat ke liye apno ka khoon karta hai insaan

kuch aisa zahar aankho me bhar deti hai daulat

ye bhukh hai aisi jo mari hai naa maregi

daulat ne wafa ki hai kabhi or na kregi

insaan tu bna firta hai daulat ka pujari

insaan tu bna firta hai daulat ka pujari

din raat tujhe rahti hai daulat ki khumaari

daulat ka sahara naa bacha payega tujhko

bhagwan ke insaaf ki jab aayegi baari

daulat ki hawas kal tujhe barbaad kregi

daulat ne wafa ki hai kabhi or na kregi

daulat jise kahte hai wo hai dhup me saya

saya jise kahte hain kabhi haath naa aaya

izzat bhi gayi jaan bhi gayi naam bhi duba

daulat ke liye tune ye imaan bhi gawaya

daulat ke liye tune ye imaan bhi gawaya

daata ki daya hai jo tere sath rhegi

daulat ne wafa ki hai kabhi or na kregi

aaj iski bhari jholi to kal uski bharegi 

daulat ne wafa ki hai kabhi or na kregi

Explore this song