Roman script

aaj hum tumhe sunanewale hai

ek shahjade ki kahani

aaj hum tumhe sunanewale hai

ek shahjade ki kahani

aji aise jaal me fansa bichara yaad aa gayi nani

aaj hum tumhe sunanewale hai

ek shahjade ki kahani

ha ha shahjade ki kahani

rahti thi ek bholi ladki rajkumar ke sath

ha ha rajkumar ke sath

aji dono me tha mel bada

hilmil karte the baat

ha ha hilmil karte baat

ae ji ladki man hi man me sochti

banungi ek din rani

aaj hum tumhe sunanewale hai

ek shahjade ki kahani

ha ha shahjade ki kahani

aji rajkumar shikar ko nikla ek din kar taiyari

ha ha ek din kar taiyari

ae ji mili waha par use ek pariyo ki rajkumari

ha ha pariyo ki rajkumari

aji ghulmil gaye aapas me jaise

ho pahchan purani

aaj hum tumhe sunanewale hai

ek shahjade ki kahani

ha ha shahjade ki kahani

kismat ka tha khel bichhad gayi pariyo ki shahjadi

ha ha pariyo ki shahjadi

are rajkumar ko karni padi bholi ladki se shadi

ha ha us ladki se shadi

ae ji sukhi na tha phir bhi thi

usko jag ki reet nibhani

aaj hum tumhe sunanewale hai

ek shahjade ki kahani

ha ha shahjade ki kahani

aji jeet liya sewa se us ladki ne rajkumar

ha ha ladki ne rajkumar

ae ji bhul gaya pariyo ki shahjadi wo ek baar

ha ha shahjadi ek baar

aji aayi khushi mahal me

ho gayi kaali raat suhani

aaj hum tumhe sunanewale hai

ek shahjade ki kahani

ha ha shahjade ki kahani

jind ko dhundhn pari aa gayi rajkumar se milne

ha ha rajkumar se milne

aur jane kya kya socha us din rajkumar ke dil ne

ha ha rajkumar ke dil ne

ae ji ab kya hoga kaun bataye

kismat kisne jani

aaj hum tumhe sunanewale hai

ek shahjade ki kahani

aji aise jaal me fansa bichara yaad aa gayi nani

aaj hum tumhe sunanewale hai

ek shahjade ki kahani

ha ha shahjade ki kahani

Explore this song