Roman script

aahe na bhari shikave na kiye

aahe na bhari shikave na kiye

kuchh bhi na zaba se kaam liya

kuchh bhi na zaba se kaam liya

kuchh bhi na zaba se kaam liya

ek pal bhi mohabbat chhup na saki 

ek pal bhi mohabbat chhup na saki 

jab tera kisine naam liya 

jab tera kisine naam liya 

is dil ko pakad kar baith gaye

haatho se kalejaa thaam liya

aahe na bhari shikave na kiye

kuchh bhi na zaba se kaam liya

puchha jo kisi ne haal to ham

kuchh kah na sake

kuchh kah na sake kuchh kah bhi gaye

kuchh kah na sake kuchh kah bhi gaye

roke to bahut aansu lekin

kuchh ruk bhi gaye kuchh bah bhi gaye

kuchh ruk bhi gaye

kuchh ruk bhi gaye kuchh bah bhi gaye

afsaanaa kahaa aur lab na hile

ashko se jahaan kaa kaam liyaa

aahe na bhari shikave na kiye

kuchh bhi na zaba se kaam liya

vo laakh tumhaare zulm sahe

vo laakh tumhaare zulm sahe

par aankh se aansu bah na saka

bimaar-e-mohabbat ai nakhashab

bimaar-e-mohabbat ai nakhashab

kuchh aur to munh se kah na saka

ik thandi si lambi aah bhari

chupake se kisi kaa naam liya

ik thandi si lambi aah bhari

chupake se kisi kaa naam liya

aahe na bhari shikave na kiye

kuchh bhi na zaba se kaam liya

kuchh bhi na zaba se kaam liya

aahe na bhari shikave na kiye

kuchh bhi na zaba se kaam liya

Explore this song