Roman script

aag lagi, aag lagi 

aag lagi shola utha

shamma pe parwana gira

shamma pe parwana gira

puchh na anjam-e-wafa

ye bhi jali wo bhi jala

haye aag lagi, aag lagi 

kaat ke saiyad ne par

saunp diya darde jigar

kaat ke saiyad ne par

saunp diya darde jigar

uspe ye taakid magar

aahe na bhar ma le nazar

ishq hai kya dekh liya

ishq hai kya dekh liya

ye bhi jali wo bhi jala

haye aag lagi, aag lagi 

dil ki tadap dil me rahe

sabki sune kuch na kahe

dil ki tadap dil me rahe

sabki sune kuch na kahe

dard sahe zulm sahe

ashq na aankho se bahe

ye hai mohabbta ka maza

ye hai mohabbta ka maza

ye bhi jali wo bhi jala

haye aag lagi, aag lagi 

bijliya gulshan pe giri

phul kahi bhaura kahi

bijliya gulshan pe giri

phul kahi bhaura kahi

khawab tha ye kitna hasin

aaj hua humko yakin

pyar ka anjam bura

pyar ka anjam bura

ye bhi jali wo bhi jala

haye aag lagi, aag lagi 

aag lagi, aag lagi 

aag lagi shola utha

shamma pe parwana gira

shamma pe parwana gira

puchh na anjam-e-wafa

ye bhi jali wo bhi jala

haye aag lagi, aag lagi

Explore this song