Roman script

aa to gaye hai tere sang tanhaai me

ab tanhaai se dar lagne laga hai

dil ki baate kahne ka yahi mausam hai

tujhe paane ko dil jid karne laga hai

aa to gaye hai tere sang tanhaai me

ab tanhaai se dar lagne laga hai

diwana dil jid kare to

baato me aana nahi

jaane ye kya maang baithe

iska thikana nahi

puchhe bina tera koi jalwa churana nahi

pyasa bahut hun main lekin itna diwana nahi

ho tu hai meri chahat se anjana kya

tu hai meri chahat se anjana kya

dun pyar ka najrana kya

tujhko shayad ab tak iska ilam nahi

tere sang jine ko koi marne laga hai

aa to gaye hai tere sang tanhaai me

ab tanhaai se dar lagne laga hai

tujhko darane laga hai

dar ye sama raat ka

rakhenge waqt din me agli mulakaat ka

rukta nahi ab to roke

tufaan jajbaat ka

ho humse wahi ho na jaaye khatra hai jis baat ka

main hun tera mujhse ghabrana kya

main hun tera mujhse ghabrana kya

baaho me aa sharmana kya

mere humdum ab to hardam dil mera

teri chahat ka hi dum bharne laga hai

dil ki baate kahne ka yahi mausam hai

tujhe paane ko dil jid karne laga hai

aa to gaye hai tere sang tanhaai me

ab tanhaai se dar lagne laga hai

Explore this song