Roman script
Kayar jo the, vo shayar bane Ab kya kya karein ye ishq mein Na kehte the kuch jo, lage khoj mein Kya lafz chune? Naye aashiq ye, ishq mein tere hain faiz bane Arz kiya hai Humne bhi likha kuch tere baare mein Aise tu lage ki gulaab hai Aur aise tu lage ki gulaab hai Aur aise tu lage ki gulaab hai Baghon mein dil ke Khilke in fizaaon mein chhaye ho haaye Aur vaise hum to tere hi gulaam hain Aur vaise hum to tere hi gulaam hain Baadshah dil ke, teri baazi mein Jo tu chahe to… Doobe dilon ki kya nau banu? Main khud tar paaoon na aankhon mein Shayar ki fitrat mein hi doobna Main kya hi ladu toofanon se Ishq mein tere hain faiz bane Arz kiya hai Humne bhi likha kuch tere baare mein Haathon ko sambhaale mere haathon mein Kaise haathon ko sambhaale mere haathon mein? Jab tak neend na aaye in lakeeron mein Baatein hon… Haan… Sabne to sab keh diya hai Kya hi kahoon jo abhi bhi ankaha hai? Main haay… Na Mirza, na Mir Na maahir, na zaahir Karoon kuch naya main? Haay… par… Jo bhi likha hai, jiya hai Haan jiya hai Aise, aise, aise, kaise, vaise, jaise Jaise main padhun mere dil mein jo Meri aankhen bhi padhein teri aankhon ko Kya ye mehfil mein baithe? Ya uthe daud jaane ko? haaye Teri aankhon mein taarifon ki talaash hai Meri mehfil tere jaane se veeraan hai Main bas shayar bana hoon Sirf tu sunne aaye to… Shayad shayar bana hoon Sirf tu sunne aaye to
हिंदी में गीत
कायर जो थे, वो शायर बने अब क्या क्या करें ये इश्क़ में ना कहते थे कुछ जो, लगे खोज में क्या लफ़्ज़ चुनें? नए आशिक़ ये, इश्क़ में तेरे हैं फ़ैज़ बने अर्ज़ किया है हमने भी लिखा कुछ तेरे बारे में ऐसे तू लगे कि गुलाब है और ऐसे तू लगे कि गुलाब है और ऐसे तू लगे कि गुलाब है बाग़ों में दिल के खिलके इन फ़िज़ाओं में छाए हो हाय और वैसे हम तो तेरे ही ग़ुलाम हैं और वैसे हम तो तेरे ही ग़ुलाम हैं बादशाह दिल के, तेरी बाज़ी में जो तू चाहे तो… डूबे दिलों की क्या नौ बनूँ? मैं खुद तर पाऊँ न आँखों में शायर की फ़ितरत में ही डूबना मैं क्या ही लडूँ तूफ़ानों से इश्क़ में तेरे हैं फ़ैज़ बने अर्ज़ किया है हमने भी लिखा कुछ तेरे बारे में हाथों को संभाले मेरे हाथों में कैसे हाथों को संभाले मेरे हाथों में? जब तक नींद न आए इन लकीरों में बातें हों… हाँ… सबने तो सब कह दिया है क्या ही कहूँ जो अभी भी अनकहा है? मैं हाय… ना मिर्ज़ा, ना मीर ना माहिर, ना ज़ाहिर करूँ कुछ नया मैं? हाय… पर… जो भी लिखा है, जिया है हाँ जिया है ऐसे, ऐसे, ऐसे, कैसे, वैसे, जैसे जैसे मैं पढ़ूँ मेरे दिल में जो मेरी आँखें भी पढ़ें तेरी आँखों को क्या ये महफ़िल में बैठे? या उठे दौड़ जाने को? हाय तेरी आँखों में तारीफ़ों की तलाश है मेरी महफ़िल तेरे जाने से वीरान है मैं बस शायर बना हूँ सिर्फ़ तू सुनने आए तो… शायद शायर बना हूँ सिर्फ़ तू सुनने आए तो
Song details
- Singer: Anuv Jain
- Film / album: Arz Kiya Hai
- Composer: Anuv Jain, Rishab Joshi
- Lyricist: Anuv Jain
Song video
director: Edwin Quadros
music label: Coke Studio India