Roman script

Main tujhse pyaar nahin karta
Main tujhse pyar nahi karta

Per koyi aisi shaam nahi

Jab main apni tanhaai mein

Teraa intazaar nahi karta

Main tujhse pyaar nahin karta

Dil se ye kehta rahta hun

Par teri sanson mein chhip ke

Main saansen letaa rehta hun

Is se inkaar nahi karta

Main tujhse pyar nahi karta

Mujhe kuchchh bhi yaad nahi rahta

Kab din dooba, kab raat hui

Abhi kal ki baat hai

Pehron tak meri divaaron se baat hui

Jo hosh zara saa baaqi hai

Lagta hai khone wala hun

Afwah uddi hai yaaron mein

Main pagal hone wala hun

Main tujhse pyaar nahin karta

Main tujhse pyaar nahin karta

Main tujhse pyar nahi karta

Par aisa koyi din hai kyaa

Jab yaad tujhe teri baaton ko

Sau sau baar nahin karta

Sau sau baar nahin karta.

हिंदी में गीत

मैं तुझसे प्यार नहीं करता
मैं तुझसे प्यार नहीं करता

पर कोई ऐसी शाम नहीं

जब मैं अपनी तन्हाई में

तेरा इंतजार नहीं करता

मैं तुझसे प्यार नहीं करता

दिल से ये कहता रहता हूँ

पर तेरी सांसों में छिप के

मैं सांसें लेता रहता हूँ

इससे इनकार नहीं करता

मैं तुझसे प्यार नहीं करता

मुझे कुछ भी याद नहीं रहता

कब दिन डूबा, कब रात हुई

अभी कल की बात है

पहरों तक मेरी दीवारों से बात हुई

जो होश ज़रा सा बाकी है

लगता है खोने वाला हूँ

अफवाह उड़ी है यारों में

मैं पागल होने वाला हूँ

मैं तुझसे प्यार नहीं करता

मैं तुझसे प्यार नहीं करता

मैं तुझसे प्यार नहीं करता

पर ऐसा कोई दिन है क्या

जब याद तुझे तेरी बातों को

सौ सौ बार नहीं करता

सौ सौ बार नहीं करता

Explore this song