Roman script

Duniya nahi chahiye

Tu duniya meri humsafar

Jaana hai mujhko kahaan

Tu hi mera ghar

Sabki hain apni manzilein

Sabka hai apna safar

Hum akele shehar mein

Bhatke hain dar badar

Duniya nahi chahiye

Tu duniya meri humsafar

Tere hathon pe mehndi

Mere naam ki ho yeh armaan hai

Chahe mile daulaton ka samundar

Humko ab kya karna hai

Tujhse na bichhde kabhi

Lagta hai ab yeh dar

Duniya nahi chahiye

Tu duniya meri humsafar

Katt jayega yeh safar

Jo humsafar mera hai tu

Yeh sochkar humko naaz hai

Haan mera mera hai tu

Ache lagte hain saath hum

Lag jaaye na nazar

Duniya nahi chahiye

Tu duniya meri humsafar

Jaana hai mujhko kahaan

Tu hi mera ghar

Sabki hain apni manzilein

Sabka hai apna safar

Hum akele shehar mein

Bhatke hain dar badar

Duniya nahi chahiye

Tu duniya meri humsafar

Explore this song