Roman script

Karam ki duniya mein

Koi dharam kya chunta hai

Bhaiya ki farak painda hai

Mamaiya koi padta kalma

Koi kirtan sunta hai

Hanji ki farak painda hai

Haan inn chehron mein chehra

Har tevar ka milta hai

Lehza bhi har khushbu

Har flavor ka milta hai

Aapas mein khann khann

Karte hain bartan jaise

Apna toh khann khann se bhi

Music banta hai

Suno bhaiya itni azaadi mein

Bhaiya itna toh chalta hai

Lo ji ki farak painda hai

Ho dhup kisi ka kabhi

Mazhab kahan poochti hai

Ik jaisi sabki hai

Kaum kisi ki kya hai

Barkha kahan sochti hai

Har aangan girti hai

Hua toh kya koi agar gora ya kala

Mazakiya mijajiya guroor wala

Zara sa toh milega hi sabhi mein antar

Meharbaan sabhi pe hai upar wala

Socho miyan kaun kam ya jyada

Koi kaise tay karta hai

Ho ji ki farak painda hai

Explore this song