Roman script
Hai raat chaandni tu hoti chhat pe saath mein Ek mein chai dooja haath tere haath mein Chai ke jesa swaad hota teri baat mein Main aksar dooba rehta bas yun hi mein Chai to hai main tera saath soch leta hun Chai ki aah mein hi tujhko khoj leta hun Wo bhini khoosbu ghulti hai jab in hawao mein Main aankhein band karke teri saansein toh leta hun Jo choomu pyaala sochun hoth tere choom liye hai Main khud mein khud na iss qadar tu meri ruh liye hai Hai yaad tumko pal wo lab se jab the lab mile Har ek sec mein hai woh yaad jo sukoon liye hai Dhundhu chai mein mithaash ho tumhari Jaise mitti ki sugandh toh tumhari Jaise tujhko saamne se dekhu to chadhe Theek wahi chai ke rang mein khumaari Yaa ye pyaala ye to main hi khush naseeb hun Yaa tu bashi hai isme hai mere kareeb tu Yaa ye rabb ka ishara ki hai shareeq tu Ya ye wahi kissa ranjha main aur heer tu Hai ye pyaala chai ka jo aadha ho liya hai Main di se sochu ye dimaag pyada ho liya hai Par ab bhi tu basi hai khash hai wazood iska Jo tujse hua wahi isse wada ho liya hai Main dekhu chai aur main kuch to fus fusa raha hun Hai kaan taaro ke bhi yun bud buda raha hu Yeh chaand bhi jale main yun jo khushnuma raha hun Ho khud mein khush main jese khud ko gud guda raha hun Chai ki bund aakhri mein bhi ho tum samaaye Chai ke khatam hone ka bhi mujhko dar sataye Wo ishq kya jo ishq dar jakham aur gam na laye Ho dheeme dheeme subh ye lamha yun hi tham sa jaaye Ye pyaala ungliyon mein jese jakda hun tumhe Na chodna ye sochun jese pakda hun tumhe Na rakhna dheel kya ki pyaala toot jaaye na Hai dar bhi tera mera saath chhoot jaaye na Ye pyaala ungliyon mein jese jakda hun tumhe Na chodna ye sochun jese pakda hun tumhe Na rakhna dheel kya ki pyaala toot jaaye na Hai dar bhi tera mera saath chhoot jaaye na
Song details
- Singer: Mc Square
- Composer: Jxsie Beats
- Lyricist: Mc Square
Song video
director: Bhavesh Manglani
director of photography: Nitin Goyal Cam