Roman script

Bhola mera, bhola mera x(8)

Hath mein trishool hai

Maathe mein bhasm hai

Dristi uski aisi ki

Kar deta bhasm hai

Kaanpe teeno lok

Danka bajta uski taal ka

Kaal kya bigaade

Jispe hath mahakaal ka

Bhola mera, bhola mera x(8)

Mere har kshann mein bhola

Prithvi ke kan kan mein bhola

Kar deta hai mahavinash woh

Utar jaaye jab rann mein bhola

Rudra roop mein ho jab bhola

Agni netra jab khole bhola

Hil jaati yeh saari duniya

Jab tandav kar deta bhola

Bhola mera, bhola mera x(8)

Duston pe banta kehar bhola

Naash ki chalti lehar hai bhola

Neel kanth hai amrit chhor voh

Peeke baitha jahar hai bhola

Kailash pe bhola, dhyan mein bhola

Vaas kare shamshan mein bhola

Basta hai voh mere dil mein

Basta meri jaan mein bhola

Bhola mera, bhola mera x(8)

Explore this song