Roman script
Tu aaya nahi kyun? Sadiyo se lambe hain lamhe yahan kya karu? Aahat pe teri mein neend se bhi uth padu Sab kuch bhula kar mein yaadein samaita karu Phir tere sirhane mein baarish mein bheega karu Mil ke bhi tu na mera Hai na yaqeen ab tera Yaadon mein khoya hai dil ye Roya hai tujh ko dhoonda tha bewajah Jaane ye aalam hai kesa Aayega kese savera Tanhai aisi hai mujh se kehti ye Tujh ko phir se loon bula Tu na jaane tere bin mein Kese pal hain ye guzaare I mean I'm sorry for the heartbreak You know we never should’ve parted (wish we could) go back to the better days Tere haath mein ho haath and I'm feelin great, Per hain alag saare raaste Ghalti na ye meri na ye teri hai Tu aaya nahi kyun? Sadiyo se lambe hain lamhe yahan kya karu? Aahat pe teri mein neend se bhi uth padu Sab kuch bhula kar mein yaadein samaita karu Phir tere sirhane mein baarish mein bheega karu It’s been a while, tum waqt ke na qaayal Dil ki dewaaro ko deemak ki tarah fikar teri khaye That wasn’t a goodbye tum phir bhi na laut ke aayi Qalam uthayi phir maine aur likhi jo humne bitaayi Tere se pehle bhi tha kuch, tere baad bhi hu Tere saath tha jo wo dafan kar chuka apni zaat mein hu Ek laash hai bas, thodi si yaad hai bas Ek aadha qissa hai jisme dete hai teri misaalein bas Malaal hai bas, tu aaya nahi kyun, Main to aaya tha sun'ne wo geet tera tune gaya nahi kyun? Khushi mein shamil raho meri main gham mein bulata nahi hu Main maaf kardeta hu lekin main kabhi bhulata nahi hu Khuda ne leke bhi, aur deke bhi kiya imtihaan mera Main to sab kehke bhi, na kehke bhi jaana bezubaan raha Sab to luta aaye, yaad hi teri mera samaan raha Sadiyaan guzari ke nai tere intezaar mein tu ye bata Tu aaya nahi kyun? Sadiyo se lambe hain lamhe yahan kya karu? Aahat pe teri mein neend se bhi uth padu Sab kuch bhula kar mein yaadein samaita karu Phir tere sirhane mein baarish mein bheega karu
Song details
- Singer: Talha Anjum
- Singer: Annural Khalid
- Composer: UMAIR
- Lyricist: Talha Anjum
- Lyricist: Annural Khalid
Song video
singer: Talha Anjum, Annural Khalid
genre: Hip-Hop (Rap)