Roman script
Tum nazar mein, tum nazar mein Sookha ho dariya toh barsaat kaise hogi? Ik tarfa khamoshi mein baat kaise hogi? Zinda ho saansein toh mil liya karo Na jaane maut ke baad mulaqat kaise hogi? Ab teri yaadon ka karz kaise chukaaye? Jab, khali ho kamre toh ghar kya hi sajaye Jab, mann mein tu hain, toh bin kaha bataye Tu bin batake gaya, bina kuch bataye Tere hone se syaahi thi, abb likhun kya nazam Jab, khoya marham toh pata chala zakham Tamaam dhoonda chain maine apne hi ghar Par, kabrein dikhi jab bhi dekha koi palang Kyun ganwa diya tera saath haan Samjhaute ke rishton mein bandh Likhun phir se woh daastaan jahan ishq Musalsal, hifazat mein hum do badan Ibaadat ho jaaye, jab lafzon mein naam tera Aur nazmon mein aaye zikar Qayamat bhi aaye, mohabbat yeh kam na Pade jahan jismon ki hogi qadar! Rehna tum nazar mein Haan rehna tum nazar mein Joh hum na mil sake kyun gam piyein? Joh maut aayegi toh ban Jaana tum taara oh sanam Rakam yahan saanson ki Dadhkan ko taane bhi Kyun zinda logo ko ab Jeene mein haan aati hai sharam? Rehna tum.. Haan rehna tum.. Yaad kar baitha hoon phoolon ko dekh baat teri Paani ab deta hoon phoolon ko subhon-shab Waqt ke rehte kaash diya hota sab tujhe Waqt ke saath tujhe diya hota waqt Auron ko cheezein teri bakhoobi dikhau Logo ko baithe teri ab main kahani sunaau Kaash sun leta kahani teri main tab Tere gul-e-gulzaar mein aata nahi shafaq Haan, tere bina lagta hai soona Ik arse se maine tujhe dekha nahi Mehsoos abb hota kuch haina Naam aur shohrat kabron mein jaani nahi Dhadkan lage kyun pareshan Shehron mein ik zalzala Manzil joh tujhse milaye Uss ghar ka rasta kaha na? Tum nazar mein Haan rehna tum nazar mein Joh hum na mil sake Kyun gam piyein? Joh maut aayegi toh ban Jaana tum taara oh sanam Rakam yahan saanson ki Dhadkan ko taane bhi Kyun zinda logo ko ab Jeene mein haan aati hain sharam? Rehna tum nazar mein Rest easy rest in peace
Song details
- Singer: Spectra
- Film / album: Hustle 2.0
- Composer: Spectra
- Lyricist: Spectra
Song video
genre: Hip-Hop (Rap)
music label: KaanPhod Music