Roman script

Chalo, so jao beta

Mumma, ek story sunao na, please ek story?

Kaunsi waali? Umm, pari waali

Theek hai ek thha kauva

Ek baar us kauve ke ghar mein

Raat ka khaana banaya gaya thha

Chhoti umar se har din woh

Kauve ke haathon pakaya gaya tha

Kauve ko kabhi mila nahi credit

Har din wo bole ki let it go

Bola forget it. Theek hai I get it

Kuch aur khaana ho, let me know

Table pe baithe thhe saare

Kauve bechaare ki nazrein thhi neeche aur

Aankho mein aansoon, khud pe woh kaabu

Bhi kare aur aankhein bhi meeche, aur

Jisne bhi jo bhi thha maanga, woh deta gaya

Badle mein taane hee khaaye

Thakk kar saamaan uska sameta gaya

Kisi ne aansoon nahi dhaaye

Kauve ne socha kya paa raha hoon?

Main kyun inko khaana khila raha hoon?

Main har din toh gaali hi kha raha hoon

Bas, kauve ne bola, main jaa raha hoon

Kauve ke jo bhi thhe pyaare

Baith ke dekhte rahe woh saare

Mudi jo kauve ki peeth

Toh gaali dene lage, patthar maare

Dekho na, kauva akela hai

Kauve ne kya kya nahi jhela hai

Kauve ne kya kya nahi jhela hai

Dekho na, kauva akela hain

Dekho na, kauva akela hai

Kauve ne kya kya nahi jhela hai

Aise hee kauvo ka mela hai

Dekho na

Kauva jab nikla ghar se

Kap kapaaya woh darr se

Ki kisi ne usey padhaya likhaya

Bhi nahi thha chhoti umar se

Ab kya hee bechaara kare

Kaise woh yoon hee guzaara kare

Naukri mili hi nahi toh

Bhookh ko kaise nakaara kare?

Thhokar khaata yahan wahan

Thha toh woh beghar, jaata yahan wahan

Pet ki bhookh mitaane, dhoonde thikaane

Bheekh maangi thoda khaana kamaane

Par kahin pe khaana nahi mila

Khaane ka ek bhi daana nahi mila

Kahi yoon hee pyaala pada thha aur

Pyaale mein paani bhi zyada nahi mila

Kisi ko kauve pe daya nahi aayi

Kauve ki family kabhi bhi

Dhoondne use behayaa nahi aayi

Unhone jo patthar maare thhe

Kauve ne paani ke pyaale mein daale

Paani upar aaya, pyaas ko bujhaaya

Kauva phir bola, marne de saale

Kauve ne seekha ki aise hi

Logo se poori duniya hain bhari

Duniya mein kahaniya chhodo

Toh kahi bhi ab rahi na pari

Ye kahaani sunn ke jo neend

Aaye toh so jaana, shh, shh

Sab aisa hee hota hain, beta

Moral of the story

Dekho na, kauva akela hai

Kauve ne kya kya nahi jhela hai

Kauve ne kya kya nahi jhela hai

Dekho na, kauva akela hai

Dekho na, kauva akela hai

Kauve ne kya kya nahi jhela hai

Aise hee kauvo ka mela hai

Dekho na

Explore this song