Roman script
Teri yaad dilaye tera chehra dikhaye Aisi likhdu ghazal main koyi Mai soya ik chain ki neend se Ab uthna nahi hai mera sapna badale na koi Tu ho sake toh aaye kabhi aye kabhi aaye Abhi aaye meri aankhon mein tu toh thehre sahi Toh din bann jaye, ho samandar mann Mera uchlhe magan jaise lehre ho koi Teri hasrat jo maine ki ishq hua hain pehle bhi Par din dugna behtar lage aisa hua pehle kabhi, no! Soh-batt jo pehle thi, I like the way you picture me Teri hasi zeenat teri tasveeron mein “no-filter” please Dua hai, tu reh hifazat sang mere humesha hi Hua hai, beete relationship mein na khush dono hi Meri khamoshi kehti kya tu bhi bolein ishaaron mein Khwaish kalandar ki leti panha teri he aankhon mein Haan, yaad dilaye tera chehra dikhaye Mera sab kuch lagta tu hi Tu ho rahi bechain, dilo mein meri nazam vahi hai Mera qaafiya radeef bhi tu hi Tu ho sake toh aaye, bann hawayein chhuke jaaye Hum yaha hai meri baahon mein tu thehre toh sahi Yeh mushkilay bhi kya hai muskuraye humnava hai Mere saaye mere mann mein andhere na koi Ishq kehte jise falsafe mein humein sab pata hai jaanam Mera best day hai, teri hasraton mein tujhe kya pta hai jaanam? Rab thak gaya hai meri arziyan bhi sunke likhe yeh aamad Tera itrr bhi koi kuch keh mujhe de raha ijaazat Na-silah mangta duniya se jo kar lun mein tumko haasil Humnava yahan hai kaafi par tu he lagta hain kaabil Mein toh kar raha ibaadat tujhko rakhein hifaazat Tu shamil hai mujhmein aisi aise, karti tu zindagi kaamil! Teri yaad dilaye tera chehra dikhaye Aisi likhdu ghazal main koyi Mai soya ik chain ki neend se Ab uthna nahi hai mera sapna badale na koi Tu ho sake toh aaye kabhi aye kabhi aaye Abhi aaye meri aankhon mein tu toh thehre sahi Toh din bann jaye, ho samandar mann Mera uchlhe magan jaise lehre ho koi Tu karti zid hai, mein din deta hu gin ke Ye dooriya bi sin hai, yeh intehaan hain phirse Bismil yeh pal hai, tu hi mera safar hai Tu kar yakeen mera, teri khushi manzil hai Haan, yaad dilaye Mera sab kuch lagta tu hi Mera qaafiya radeef bhi tu hi
Song details
- Singer: Munawar Faruqui
- Composer: Shawie
- Lyricist: Munawar Faruqui
Song video
choreography: Awez Darbar
director of photography: Prathamesh Date