Roman script
Ho ik bewafa ne aisa mera haal kar diya Ek bewafa ne aisa mera haal kar diya Mere dil main reh ke dil ko Barbaad kar diya haan.. Raaton ko uth uth ke rota tha main Tere khyaalon mein khota tha main Jab bhi yaad aata tha naam tumhara Ashkon se aankhein bhighota tha main Pagal awaara diwana tha main Par tera aashiq purana tha main Dhokha phir tune kyun mujhko diya Tera hi tha na begana tha main Ho mera dil tod ke kyun behaal kar diya Mere dil main reh ke dil ko barbaad kar diya Ek bewafa ne aisa mera haal kar diya Woh vaade tumhare woh baatein tumhari Ek ek kar ke mein likh dunga saari Jhootha tha pyaar woh jhoothi wafaayein Na jante the hai maut humaari Pagal hai dil yeh samjhta nahi Kehta hai vo ye kar sakta nahi Kya isko bolun main kya samjhaun Keh dega ab mein dhadhakata nahi Jaan ne jaan le kar kya kamaal kar diya Mere dil main reh ke dil ko barbaad kar diya Ek bewafa ne aisa mera haal kar diya
Song details
- Singer: Paras Chopra
- Composer: Avvy Sra
- Lyricist: Paras Chopra
Song video
director: Savio Sandhu
cast: Nishant Malkhani, Tanvi Gadkari
director of photography: Honey Cam
music label: White Hill Beats