Roman script

Bolne se kya kabhi kuch bayaan hota hai
Ishq to paidaishi bezubaan hota hai
Aankhein khud hi hai bolti pyar ke lafz ko
Alfaazo ki jarurat hi nahi tere mere ishq ko
Ab khuda se hai inaayat mil rahi tere mere ishq ko

Zikr khud se hi khud tere baabat karne lagi
Kyun teri marziyon ke mutabik chalne lagi

Dhoondh leti hoon har jagah ab tere aks ko
Alfaazo ki jarurat hi nahi tere mere ishq ko
Ab khuda se hai inaayat mil rahi tere mere ishq ko
Bewajah khamakha muskurana achha lage
Dil hi dil mein hi bas tujhko chaahna achha lage

Jee raha hoon main aajkal doosre shaksh ko
Alfaazo ki jarurat hi nahi tere mere ishq ko
Ab khuda se hai inaayat mil rahi tere mere ishq ko
Alfaazo ki jarurat hi nahi tere mere ishq ko
Ab khuda se hai inaayat mil rahi tere mere ishq ko
Bolne se kabhi kuch bayaan hota hai
Ishq to paidaishi bezubaan hota hai
Aankhein khud hi hai bolti pyar ke lafz ko
Alfaazo ki jarurat hi nahi tere mere ishq ko

Song details

Song video

Watch on YouTube

singer: Javed Ali, Anita Bhatt

director: Pappu Maalu

cast: Muskan Sharma, Rehaan Roy, Atif Malik

director of photography: Parvez Pathan

music label: Aatma Music