Roman script

Roun ya hasun teri harqat pe

Ya phir teri tareef karun

Mere dil se tu aise khel gaya

Ab jee na sakun maar bhi na sakun

Teri zehar bhari do aankhon ki

Mujhe chal samajh mein na aayi

Wafa na raas aayee tujhe oh harjai

Wafa na raas aayi tujhe oh harjai

Sadiyon yeh zamana yaad rakhega

Yaar teri bewafai

Wafa na raas aayee tujhe oh harjai

Waadon ki lashon ko bol kahaan dafnaaun

Waadon ki lashon ko bol kahaan dafnaaun

Khwaabon aur yaadon se kaise tumko mitaaun

Kyun na main tujhe pehchan saka

Sach tere nahi main jaan saka

Tere noor se jo raushan tha kabhi

Uss shehar mein aag lagayi

Wafa na raas aayee tujhe oh harjai

Wafa na raas aayi tujhe oh harjai

Sadiyon yeh zamana yaad rakhega

Yaar teri bewafai

Wafa na raas aayee tujhe oh harjai

Jis jis ko mohabbat raas aayi

Woh log naseebon waale the

Taqdeer ke hathon haar gaye

Hum jaise jo thhe

Sunn yaar mere oh harjayi

Hum thode alag dilwale the

Par jaisa socha tha humne

Tum waise na thhe

Tune vaar kiya sidhe dil pe

Aur palak bhi na jhapkayi

Wafa na raas aayee tujhe oh harjayi

Wafa na raas aayee tujhe oh harjayi

Explore this song