Roman script

Yeh jo jagah jagah dard ki

Kahaniyan sunata hai

Yeh jo jagah jagah dard ki

Kahaniyan sunata hai

Farebi hai sab jhooth batata hai

Toda jayega tu bhi toda jayega

Meri tarah tu bhi chhoda jayega

Toda jayega tu bhi toda jayega

Meri tarah tu bhi chhoda jayega

Kitno ke dil barbaad karega aag lagayega

Tu sach mein kitna behaya hai

Sach yeh saamne aayega

Tune bada sataya hai mujhe

Ja tu bhi sataya jayega

Haaye bada rulaya hai mujhe

Ja tu bhi rulaya jayega

Tune bada sataya hai mujhe

Ja tu bhi sataya jayega

Kitno ko seene se lagaya

Meri tarah saath sulaya

Kitno ko seene se lagaya

Meri tarah saath sulaya

Aankhon mein teri paani nahi hai

Sabko tune kitna rulaya

Isse sharam na aayegi zara bhi

Baaz na aayega

Tu sach mein kitna behaya hai

Sach yeh saamne aayega

Haaye bada sataya hai mujhe

Ja tu bhi sataya jayega

Jaana bada rulaya hai mujhe

Ja tu bhi rulaya jayega

Tune bada sataya hai mujhe

Ja tu bhi sataya jayega

Kitno ko hai maara jeete jee haan tune

Khwaab dikhaye pehle

Phir khwaab unhi se chheene

Tujhko to pata hai hota haan khuda hai

Munh kaise dikhlayega, haaye bada

Haaye bada sataya hai mujhe

Ja tu bhi sataya jayega

Tune bada rulaya hai mujhe

Ja tu bhi rulaya jayega

Tune bada sataya hai mujhe

Ja tu bhi sataya jayega

Jab tak jee rahi hun

Yeh dua karti hun

Jab tak jee rahi hun

Yeh dua karti hun

Tu har roz mare

Main jis tarah marti hun

Explore this song