Roman script

Jalna bhujna, bhujke jalna

Marna jeena, marke jeena

Mangne wali cheez nahi yeh

Mauka uska jisne chheena

Girna uthna, uthke chalna

Chad ja ambar jeena jeena

Yaad rahe yeh shart safar ki

Pichhe mud ke dekh kabhi na

Jeet ka junoon hai toh

Haar sochna kyun

Jab zindagi hai ek hi

Do baar sochna kyun

Main parinda kyun banun

Mujhe aasmaan ban'na hai

Main ik panna kyun rahun

Mujhe dastaan ban'na hai

Main parinda kyun banun

Mujhe aasmaan ban'na hai

Koyi toh wajah hai

Jo zid pe adi hai yeh dhadkane

Yahin toh wajah hai

Kiya jo kisi ne nahi hum kare

Talwaar haath hai mein tere

De maar sochna kyun

Jab zindagi hai ek hi

Do baar sochna kyun

Main parinda kyun banun

Mujhe aasmaan ban'na hai

Main ik panna kyun rahun

Mujhe dastaan ban'na hai

Explore this song