Roman script
Bada satane lage ho Bada satane lage ho Mujhe rulane lage ho Karte kuch bhi nahi jatane lage ho Roz roz roye hai bin aasuon ke Kehte hai wo kuch saha hi nahi Pyaar kam ho gaya ya raha hi nahi Maine sab keh diya tune suna bhi nahi Aankhon se aankhein milakar wo bole Jhooth thhe wo jhooth jo bhi bole hans ke Dil ko dilaase diye maine kaafi Sudhar jaayenge wo na rahe bas mein Saath ho tum mere Phir bhi lagne laga hai Ke saath mein mere Koyi raha hi nahi Pyaar kam ho gaya ya raha hi nahi Maine sab keh diya tune suna bhi nahi Pyaar kam ho gaya ya raha hi nahi Maine sab keh diya tune suna bhi nahi Wo thi haqeeqat ya yeh sach hai tera Toot kar kabhi tune chaaha tha mujhe Kaise wo bhoole wo chahat ki baatein Roothne pe mere manaaya tha mujhe Ishq itna tha hum dono ke darmiyan Kisi aur ka karam maine chuna hi nahi Pyaar kam ho gaya ya raha hi nahi Maine sab keh diya tune suna bhi nahi Pyaar kam ho gaya ya raha hi nahi Maine sab keh diya tune suna bhi nahi Khud ko wafadaar Mujhe bewafa batate phir rahe ho Kyun mujhe itna satate phir rahe ho Poore ka poora aazma liya hai Phir bhi dil nahi bhara Jo ab mera sabar aazmate phir rahe ho
Song details
- Singer: Ninja
- Composer: Gaurav Dev, Kartik Dev
- Lyricist: Karam
Song video
cast: Ninja, Ruhi Singh, Pardeep Malak, Deepak Verma
director of photography: Vikcee
music label: Ninja Official