Roman script

Meri ek guzarish hai

Qanoon banane walo se

Meri ek guzarish hai

Qanoon banane walo se

Ab tak mudde bigade hi hai

Aafat aur bawalon se

Meri ek guzarish hai

Qanoon banane walo se

Bahut se aise waakyat jo

Jo pehli baar hi hote hain

Bahut se aise haadsaat jo

Jo pehli baar hi hote hain

Bahut se aise waakyat jo

Jo pehli baar hi hote hain

Bahut se aise haadsaat jo

Jo pehli baar hi hote hain

Unmein galat sahi ab kaise

Saabit kare hawalo se

Meri ek guzarish hai

Qanoon banane walo se

Ab tak mudde bigade hi hai

Aafat aur bawalon se

Meri ek guzarish hai

Qanoon banane walo se

Khel zindagi ke na

Jeete gaye kabhi chalaki se

Na hi jyada kam diliyon se

Aur na hi bebaaki se

Khel zindagi ke na

Jeete gaye kabhi chalaki se

Na hi jyada kam diliyon se

Aur na hi bebaaki se

Yeh baazi paichida hai

Shayad satranz ki chalo se

Meri ek guzarish hai

Qanoon banane walo se

Ab tak mudde bigade hi hai

Aafat aur bawalon se

Meri ek guzarish hai

Qanoon banane walo se

Yun to chahe khoob risale chapo

Aur mazmoon likho

Halla karke akhbaron se

Chahe phir qanoon likho

Yun to chahe khoob risale chapo

Aur mazmoon likho

Halla karke akhbaron se

Chahe phir qanoon likho

Hal to aakhir niklenge

Bunyadi asal sawalon se

Meri ek guzarish hai

Qanoon banane walo se

Ab tak mudde bigade hi hai

Aafat aur bawalon se

Meri ek guzarish hai

Qanoon banane walo se

Waise to agar soche to

Sab kagaz ke farman hi hain

Kuwwat hai mehdudh kyonki

Munsif bhi insaan hi hai

Waise to agar soche to

Sab kagaz ke farman hi hain

Kuwwat hai mehdudh kyonki

Munsif bhi insaan hi hai

Khoon tapkata dekha hai

Insaaf ke butt ki gaalon se

Meri ek guzarish hai

Qanoon banane walo se

Ab tak mudde bigade hi hai

Aafat aur bawalon se

Meri ek guzarish hai

Qanoon banane walo se

Palak jhapakte duniya badle

Aisa hua na hoga bhi

Zimmedaar barabar ke hai

Sadar bhi aur daroga bhi

Palak jhapakte duniya badle

Aisa hua na hoga bhi

Zimmedaar barabar ke hai

Sadar bhi aur daroga bhi

Zara zara se farak padenge

Inn sartaaj khayalon se

Meri ek guzarish hai

Qanoon banane walo se

Ab tak mudde bigade hi hai

Aafat aur bawalon se

Meri ek guzarish hai

Qanoon banane walo se

Meri ek guzarish hai

Qanoon banane walo se

Explore this song