Roman script
Tu phir se aana Bhaar mastakon pe le chale Jo pustako se door Panape jis zameen pe Uss zameen pe maa bhi majdoor Man se nasht tan pe kasht Raat khane mein hai choor sang loon Yeh gareebi ka kasoor Aur jo noor na banenge Bacche kood mein milenge Nasoor se pale jo kaise soorme banenge Kuch woh phool jo khilenge Kuch ko school na milenge Kuch ke paav do chilenge Chup woh dhool me milenge Jiske paet mein anaaj na Woh kis dharam ka hai bhala Ik bharam mein jeeta wo ki Kab garam ho ek tawa Kis karam ki maar hai Aahar inka bas hawa Naa milti maa ko ek dava Pita sava mein gumshuda Ik dafa socho desh band tha woh chal padi 8 meel pehle ghar se gir ke dharr pe mar padi Jeeta naam baalika ka jeeti na jo ek kadi Woh aafan hai ya jal chuki yeh sochta main har ghadi Tu firse aana muskaan banke Mere ghar mein chhota mehmaan banke Tu phir se aana muskaan banke Aur hass ke jeena meri jaan banke Banke.. Paet mein aag lagi hai Par paani bhi toh paas nahi Chhote hain kadam kaafi Jawani bhi to paas nahi Wo thak chuke itna ke Patri pe hi so jaayein Par sulane wali Maa ki kahani bhi to paas nahi Jo ghar pe hain wo khush hain Jo road pe wo puchein Ke ghar ki chhat milegi kab? Kaha pe jaake lun chain? Jab maa chhodne aayi thi To ek din mein pahunche thhe Ab waapas jaane mein Mujhko lagre hain din kyun 6? Ab sab dhundhla lagra Nahi bachi hai taaqat Ab so hi jaata hun Agle janam mein lunga daawat Bas maa ko batla dena Ke thoda door hi tha mein Hawa mein khusbu lele Milne tak lele raahat Aur jo kehte hain ke marne par hum 1 lakh denge, maano 16 maut aai Or ho gaye 16 lakh Upar shikaayat karunga Ab vo hisaab lenge Jo ghar tak chhod dete To bach jaati 16 laash! Tu phir se aana..
Song details
- Singer: Salim Merchant
- Singer: Karma
- Singer: Adrija Sinha
- Singer: Raftaar
- Composer: Raftaar
- Lyricist: Raftaar
- Lyricist: Karma
Song video
singer: Salim Merchant, Karma, Adrija Sinha, Raftaar
lyricist: Raftaar, Karma
director: Aakib Siddique (Black Acid)
director of photography: Ziaul Haque