Roman script
Toota hai bahut yeh dil mera Aansu hai badi tanhaai hai Jab se teri baahon mein humein Aane ki huyi manaahi hai Kuch yaadein jo teri baaki hai Jo dil ko bahut sataati hai Kaate se nahi kat'ta lamha Kyun dedi tanhaai Kuch baatein jo teri baaki hai Jo humko bahut rulati hai Jeene ko nahi ab dil karta Kyun dedi tanhaai Woh hath jo kal tak hath mein tha Ab chhune se katrata hai Har lamha kal tak sath mein tha Ab milne tak nahi aata hai Yeh soch ke neend na aati hai Aur dil mein ek udaasi hai Kyun toone kiya humko tanha Kyun dedi yeh judayi Hothon pe hansi na aati hai Aakhein bhi namm ho jaati hai Achcha hi nahi lagta jeena Kyun dedi yeh judayi Iss ishq mein tere hathon se Yehi cheez humein mil paayi hai Kyun dedi toone judayi hai Kyun dedi tanhaai Tanhaai hai humsafar Tanhaai hai har dagar Tanhaai hai har pehar Tanhaai shaam-o-sehar Tanhaai hai har taraf Tanhaai hai had-ae-nazar Tanhaai hai arsh tak Tanhaai hai ab farsh tak Mere hisse mein hisse mein Gham hi aaye hai Tere hisse mein hisse mein khusiyan Meri aankhon mein aankhon mein ashq aaye hai Tere hothon pe hothon pe hasna Toota hai bahut yeh dil mera Aansu hai badi tanhaai hai Jab se teri baahon mein humein Aane ki huyi manaahi hai
Song details
- Singer: Tulsi Kumar
- Composer: Sachet Parampara
- Lyricist: Sayeed Quadri
director: Sneha Shetty Kohli
cast: Tulsi Kumar, Zain Imam
director of photography: Girish Kant