Roman script

Mere paas kala aur sach dono shakti hai

Gyan dena chhod diya duniya ye bachti hai

Karo maaf bolo jai ganga maiyaa ki

Koi baat nahi jaag jaati kabhi kabhi bhakti hai

Log bole maangi kyun maafi

Ganga to maili hai pehle se kaafi

Tumne to bola tha muhavare ki tarah

Yahi log hagein mootein na hai sharam zara bhi

Ashthiyan leke maine dada dadi apne

Ganga mein bahaye dafnayi nahi kafnein

Muhfaad ne muh band kya kiya toh

Sabhi ye log lage kya kya hi bakkne

Gherna to chaha inn sab ne

Socha kalakaar hun lagunga main bhi dabne

Vastav mein nastik main hi to upar wala hun

Paida maa baap ne kiya tha na ki rab ne

Teri aukaat ki jholi mein chillar jama

Anpadh hai soch aur ye jaahil zuban

Besharam pana tu baitha dharam bana

Bhale garam tawa fulke naram tere karam gawah

Muhfaad chup gaurav bole muh pe

Dharam insaniyat kala mein wo doobe

Kalakaar baad mein hai pehle insan hun

Sala koi kuchh bhi bole de aur main chup rahu!

Kyun bay?

Jiya lage na..

Jiya lage na..

Seekh gaya waqt se ye ehsan hai gairon ke

Chahte rokna thhe unse par ruka na main roke

Tha berah musafir manzilo ki chhodi aas na

To rasta khdbakhud ye neeche aane laga pero ke

Padta farak na jo seekha parakhna

Chalke talwe ghis gaye zameen choota takhna

Mujhko rakh lo tum zuban pe ya dil mein do panah

Gira do kaat haath per par main bhula na sarakna

Aana hai sabko pehle isthan pe

Doosro ke kandhe chadhke moot'te ye kaan pe

Aata inko raas na jo koi nikle inse behtar

Inse zyada zinda dil gadhe huye 10 murde kabristaan mein

Banda tu funny nahi ego ki kami nahi

Sorry bole call pe par baat wahan thami nahi

Aake kare maa ke launde tareefein kilas ke

Bina baat chaat mat kyuki meri sani nahi

Jiya lage na..

Jiya lage na..

Main tansen kaan se janta jaanti

Dil se maanti banda kaandi

Sunti dhyan se mile mann ki shanti

Ahinsavaadi jaise gandhi

Muhfaad toofan zuban se laata aandhi

Albela main!

Aake beat pe sajata mela main

Aisi chakchaundh roshni karu akela main

Ujaala ki safedi hun main robin ke neel ye

Fauj leke beat pe khelta guru chela main

Raseela main juice khoon mein laga lu thela main

Shake baatein kardein 10 sach ko deta mila main

Raw bina straw maaru ghoot iss beat ki

Fir bina umbrella kela dun laga nutella main

Dehla dun inhe bina mare nehla pe dehla main

Dedh shaano ko na kabhi deta ek dhela main

Chaho jo seekhna to le lo rap classes

Matra kuch rupay mein hota 8 din vella main!

Explore this song