Roman script

Meri baaton mein chhipi thi
Teri khamoshiyan
Beeti raaton mein basi thi
Meri tanhaiyan
Tu galat aur main sahi mein
Ho gaye aise juda hum
Kya se kya ho gaya
Ishq tanha reh gaya
Ishq tanha reh gaya
Jo na keh saki najdeekiyan
Wo faasla keh gaya
Ishq tanha reh gaya
Ishq tanha reh gaya
Jo na keh saki najdeekiyan
Wo faasla keh gaya
Naaz tha jis par humein wo
Ishq ab na raha
Dhoondhte hum darbadar usko haaye
Ho na guzarana uss gali se
Dard rehta jahaan
Koyi rok na le bewajah tumko haaye
Mere hisse mein khalish hai
Tere hisse gam bacha hai
Ishq ko kya mila
Ishq tanha reh gaya
Ishq tanha reh gaya
Jo na keh saki najdeekiyan
Wo faasla keh gaya
Ishq tanha reh gaya
Ishq tanha reh gaya
Jo na keh saki najdeekiyan
Wo faasla keh gaya

Song details

Song video

Watch on YouTube

director: Ritika Bajaj

cast: Arjun Bijlani, Reem S. Shaikh, Nakul Tiwadi

director of photography: Kashan

music label: Indie Music Label