Roman script

Rab ka haseen tohfa hai

Saugaat hai yeh betiyaan

Khush haal hai woh ghar jahan

Aabad hai yeh betiyaan

Iss mulk ki iss desh ki

Buniyaad hai yeh betiyaan

Hum khushnaseeb hai jo teri

Aulaad hai betiyaan

Aao bachayein betiyaan

Aao padhayein betiyaan

Aao bachayein betiyaan

Aao padhayein betiyaan

Apne hunar se fann se

Mehnaton se lagan se

Apne hunar se fann se

Mehnaton se lagan se

Chhu le gagan ko betiyaan

Har rang mein har roop mein

Har chaand mein yeh betiyaan

Dikhne lagi hai jung ke

Maidaan mein yeh betiyaan

Tum yahan har woh jagah

Raunak ki bhejo wajah betiyaan

Kahin gagan hai betiyaan

Kahin kalam hai betiyaan

Safar mein hai yeh humsafar

Kadam kadam hai yeh kab tak

Marengi kokh mein

Kab tak jalengi betiyaan

Aao bachayein betiyaan

Aao padhayein betiyaan

Explore this song